kinare mo'atabar hote muhafiz nakhuda hota na kashti dubti koi na har pal saneha hota yahan haq baat yaro filon mein na dabi hoti umar faruq jaisa gar hamein munsif mila hota hasad-o-bughz-o-kina khud-numai hain sabhi fitne ye na hote agar shaitan ne ek sajda kiya hota lachak patthar mein gar hoti to phir patthar na kahlata wo dabta par ubhar jaane ka is mein hausla hota na yun man-bap apni na-khalaf aulad ko rote agar har ek din un ka na faqon mein dhala hota nai tahzib mein zinda agar sharm-o-haya hoti to yun na raston par zewar-e-ismat luta hota