yun hasraton ki bhiD hai tanhaiyon ke pas

yun hasraton ki bhid hai tanhaiyon ke pas
jaise mahal mein dasiyan shahzadiyon ke pas

bachche jhulas na jaen jahaalat ki aag mein
rakhiye na is kapas ko chingariyon ke pas

jin rahbaron ke dil mein har ek ka khayal tha
wo nau-ratan nahin rahe darbariyon ke pas

wo sadgi wo naz-o-ada khwab ho gae
bas khud-numai rah gai angdaiyon ke pas

daur-e-jadid aaj taraqqi ki aad mein
sab de chuka buraiyan aabaadiyon ke pas

tanha samajh rahe hain use is jahan ke log
lekin hai dil khayalon ki gahraiyon ke pas


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close