kiran kiran ke darakhshanda bab mere hain tamam raushniyon ke nisab mere hain shabon ke sabz jazire hain sab meri aqlim tamam jagti aankhon ke khwab mere hain main hun tamam dhadakte dilon ka shaidai ye aabgine ye nazuk habab mere hain tamam umr takhatub mera mujhi se raha sawal main ne kiye hain jawab mere hain khuda-e-dasht ki taqsim par main raazi hun ki aab-pare tere hain sarab mere hain nasib aaj hain kante agar to kya gham hai nai ruton ke shagufta-gulab mere hain main aaftab ke manind hun naqib-e-'sahar' siyahiyon pe sabhi ehtisab mere hain