kiran to ghar ke andar aa gai thi sunahri dhup kyun kajla gai thi kuchh aisi be-hisi se pesh aaya ki meri be-kasi sharma gai thi chhanaka to mere andar hua tha teri aawaz kyun bharra gai thi wahi rishte wahi nate wahi gham badan se ruh tak ukta gai thi janam pa kar janam paya na main ne mujhe lafzon ki nagan kha gai thi thakan mein dhal gaya lahja kisi ka meri khwahish ko bhi nind aa gai thi wo chingari hua banhen bikhere lipat kar mujh ko bhi jhulsa gai thi wo kab andar tha jo bahar na aaya 'najib' ek baat kya samjha gai thi