mahw-e-nazzara-e-hairat hai hawa pahli bar mujh pe darwaza-e-mahtab khula pahli bar hijr ki shab se bahut dur sar-e-matla-e-shauq ab ke tanhai mein wo mujh se mila pahli bar ab na ehsan karen mujh pe ye kali raaten is andhere mein jala koi diya pahli bar ab dhanak-rang bahut saf nazar aate hain apne aaine mein aai hai jila pahli bar ek haqiqat ne kiya khwab sa jadu mujh par aur main der talak sota raha pahli bar aur phir dasht-e-junun mujh ko bahut yaad aaya chaak-e-daman jo abhi main ne siya pahli bar