kis bewafa se haal kaha iztirab ka

kis bewafa se haal kaha iztirab ka
khana-kharab us dil-e-khana-kharab ka

qasid ki lash aai hai khat ke jawab mein
mansha ye hai jawab na aae jawab ka

sun loge koi din mein ki kumhla gaya ye phul
mukhda tha chand sa jo urus-e-shabab ka

qasid ke dil mein tha ki zabani bhi kuchh kahe
hazir magar mizaj na paya janab ka

taqsir bhi gunah bhi koi khata bhi ho
kahna nahin hai haal tumhaare itab ka

andesha hai na ruh-e-amin le uden 'jarih'
hun khak-e-dar janab-e-risalat-maab ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close