padha hai hum ne sabaq har ghadi sadaqat ka isi liye to ye hum par asar hai rahmat ka main sach ko jhut ki botal mein band kar lunga mere gale mein bhi tawiz hai siyasat ka meri nigah bhala kyon na ho muqaddas-tar main roz karta hun didar apni jannat ka main bach gaya hun mera nam ghaziyon mein likho irada kar ke to nikla tha main shahadat ka jabin-e-shauq ke sajdon ka lutf ya-allah wo marhala bhi ajab tha teri rifaqat ka abhi talak hai takhayyul mein nur ki barish khayal aaya tha ek din tumhaari midhat ka lo aaj waqt ki thokar mein aa gae hain 'nawab' nasha tha jin ke dimaghon mein baadshahat ka