kis buri saat se khat le kar gaya nama-bar ab tak na aaya mar gaya jate hi dil us gali mein mar gaya marne wala bewafai kar gaya dil to jaane ko gaya lekin mujhe us bhari mahfil mein ruswa kar gaya hasraten thin jine wali ji gain marne wala tha dil apna mar gaya gham ki lazzat ibtida mein thi magar is qadar khaya ki ab ji bhar gaya har niwala us ka ab to talkh hai umr nemat thi magar ji bhar gaya kya kahun ahwal uthti bazm ka pahle mina baad ko saghar gaya dil ne ek din bhi na dekha tujh ko aah us gali tak khwab mein aksar gaya marne wale dil tujhe ab kya kahun khair bakhsha main ne jo kuchh kar gaya kya kahun in aansuon ka zor o shor aankhen jhapki thin ki chullu bhar gaya dil gila karta tha khub us shokh ka tazkira mahshar ka sun kar dar gaya jis jagah dara ko bheja tha wahin kuchh dinon ke baad askandar gaya jis ka kahlata hai wan thi kya kami ai gada kyun mangne dar-dar gaya dil ne sabqat ki hawas o sabr par pahle sultan baad ko lashkar gaya munh se nikla tha ki pahuncha arsh par nala-e-dil nam uncha kar gaya dil ye umda mai se khali dekh kar jam ashkon se labaalab bhar gaya gir na jae khak par qatra koi bas bas ai saqi ki saghar bhar gaya mai-kasho matam karo ab 'shad' ka hae kya mai-khwar rahlat kar gaya 'shad' kya kuchh kam hain do kam sath sal zindagi se bas dil apna bhar gaya