khizar kya hum to is jine mein bazi sab se jite hain dam ab ukta gaya allahu-akbar kab se jite hain samajh le qasidon ne kuchh to aisi hi khabar di hai kahen kya tujh se ai naseh ki jis matlab se jite hain kisi haalat na hum se badh sakegi raat furqat ki ki hum bazi siyah-bakhti mein bhi is shab se jite hain dam apna ghut ke kab ka hijr-e-jaanan mein nikal jata madad-gari-e-shor-e-nara-e-yarab se jite hain ise bawar kar ai gham-khwar kab ke mar gae hote payam-e-wasl jab se sun liya hai tab se jite hain zaban qabu mein hai sunne ko tashbihen sune jao nazakat mein kahan auraq-e-gul us lab se jite hain abas daryaft karte ho sabab is sakht-jaani ka khuda jaane ki hum ai 'shad' kis matlab se jite hain