kis burj mein falak ne sitare milae hain

kis burj mein falak ne sitare milae hain
dast-e-shab-e-firaq mein sae hi sae hain

gulzar-e-zindagi ke hain gul-dan ke nahin
ye phul kar-khana-e-qudarat se aae hain

khasta hue tane to jaden phutne lagin
pedon ne apne apne badan phir ugae hain

saman-e-bud-o-bash tha jangal se shahr tak
hum apna bojh nafs ke ghodon pe lae hain

duniya mein itne shor-sharabe ke bawajud
jo bolte nahin hain wahi ahl-e-rae hain

hum sar-phiron ka zauq-e-sukunat na puchhiye
jab shahr tang ho gae sahra basae hain

lagta hai apna zehn bhi apna nahin 'nasim'
khud-sakhta khayal bhi jaise parae hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close