kis ehtiyat se sapne sajaane padte hain ye sang-reze palak se uthane padte hain bahut se dard to hum bant bhi nahin sakte bahut se bojh akele uthane padte hain ye baat us se pata kar jo ishq jaanta ho palon ki rah mein kitne zamane padte hain har ek ped ka saya nahin mila karta bila gharaz bhi to paude lagane padte hain kisi ko dil se bhulane mein der lagti hai ye kapde kamre ke andar sukhane padte hain kahan se laoge tum is qadar jabin-e-niyaz qadam qadam pe yahan aastane padte hain