zindagi di hai to jine ka hunar bhi dena panw bakhshen hain to taufiq-e-safar bhi dena guftugu tu ne sikhai hai ki main gunga tha ab main bolunga to baaton mein asar bhi dena main to is khana-badoshi mein bhi khush hun lekin agli naslen to na bhatken unhen ghar bhi dena zulm aur sabr ka ye khel mukammal ho jae us ko khanjar jo diya hai mujhe sar bhi dena