kis e'timad se ilzam dhar gae apne hamare nam ko badnam kar gae apne ab un ke naqsh-e-qadam raston mein kya dhunden parai manzilon ko ham-safar gae apne bahaar ne kiya mansuba-e-hina-bandi manao jashn ki sab zakhm bhar gae apne phir us ke baad faqat main tha mera saya tha jo dasht dasht the ham-rah ghar gae apne jab ek mir bhi ham-sae mein mere roya to ye guman hua diwar-o-dar gae apne hamein adu se ho 'mohsin' gila to kyunkar ho hamare shahr ko viran kar gae apne