subh har ujale pe raat ka guman kyun hai jal rahi hai kya dharti arsh pe dhuan kyun hai khanjaron ki sazish par kab talak ye khamoshi ruh kyun hai yakh-basta naghma be-zaban kyun hai rasta nahin chalte sirf khak udate hain karwan se bhi aage gard-e-karwan kyun hai kuchh kami nahin lekin koi kuchh to batlao ishq is sitamgar ka shauq ka ziyan kyun hai hum to ghar se nikle the jitne ko dil sab ka tegh hath mein kyun hai dosh par kaman kyun hai ye hai bazm-e-mai-noshi is mein sab barabar hain phir hisab-e-saqi mein sud kyun ziyan kyun hai den kis nigah ki hai kin labon ki barakat hai tum mein 'jafari' itni shokhi-e-bayan kyun hai