kis hunar-mandi se qatl-e-tirgi karte hain log

kis hunar-mandi se qatl-e-tirgi karte hain log
mera kashana jala kar raushni karte hain log

jaane kaisa shahr hai ye maut ki aaghosh mein
rah ke bhi har waqt jashn-e-zindagi karte hain log

main fasil-e-shab pe raushan karta hun dil ka charagh
garche mere raste mein tirgi karte hain log

ya-ilahi gulsitan-e-zindagi ki khair ho
jo nahin karna hai ab aksar wahi karte hain log

dosti ka gir gaya mear kitna aaj-kal
sirf maqsad ke liye ab dosti karte hain log

mujh ko kya malum lafzon ke baratne ka hunar
mujh se behtar shahr-e-fan mein shaeri karte hain log

zindagi ke hath se majbur ho kar aaj-kal
khud-kushi har waqt 'sabir-jauhari’ karte hain log


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close