jitne bhi suraj ke neze the nukile ho gae

jitne bhi suraj ke neze the nukile ho gae
zindagi ki shakh ke sab phul pile ho gae

hum ne honton par sajae jab mohabbat ke gulab
khun ke pyase hamare hi qabile ho gae

waqt ne shakhon se apni kar diya un ko alag
sabz patte ped ke jis waqt pile ho gae

qabr ki tarikiyan kuchh badh gain to kya hua
meri beti ke to sune hath pile ho gae

kaun jaane chal padi hai bagh mein kaisi hawa
waqt se pahle hi sare phal rasile ho gae

aandhiyan hasrat se apna sar patakti rah gain
bach gae wo ped 'sabir' jo lachile ho gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close