kis jagah chhoda tha wo tir-o-kaman yaad nahin tha kahin sahil-e-dariya pe makan yaad nahin jaane kis samt se jage the wo shoale ghar mein jaane kis samt se nikla tha dhuan yaad nahin mahke khushbu se teri kitne dariche dil ke kis ne di phir mere lafzon ko zaban yaad nahin dhund kar lae koi ab wo khalish pahli si kho gae the teri aankhon mein kahan yaad nahin waqt ki god bhi aaseb-zada lagti thi amn ki hum ko koi bhi to azan yaad nahin is qadar hosh hai ki samne chehra tha wahi gum hue phir isi wahshat mein kahan yaad nahin chaaron jaanib hai wahi dard ka sahra 'talib' hum faqiron ko koi kahkashan yaad nahin