tere ehsas mein jalta diya hun agar tu aks hai main aaina hun sarab-e-dasht ki surat nahin main basirat ka ubharta daera hun rahi hai gumbad-e-jaan mein sada jo usi aawaz se lipta hua hun rifaqat ka guhar hai aisa raushan main khud apni nazar se mawara hun koi aawaz lahraati hai 'talib' main apne aap se jab bolta hun