kis jhutpute ke rang ujalon mein aa gae tukde shafaq ke dhup se galon mein aa gae afsurdagi ki lai bhi tere qahqahon mein thi patjhad ke sur bahaar ke jhaalon mein aa gae ud kar kahan kahan se parindon ke qafile nadida paniyon ke khayalon mein aa gae husn-e-tamam the to koi dekhta na tha tum dard ban ke dekhne walon mein aa gae kante samajh ke ghas pe chalta raha hun main qatre tamam os ke chhaalon mein aa gae kuchh rat-jage the jin ki zarurat nahin rahi kuchh khwab the jo mere khayalon mein aa gae