hamare dil mein koi aarzu nahin baqi hamare phul mein ab rang-o-bu nahin baqi bahut kahi dil-e-nadan adu nahin baqi mera adu mere pahlu mein tu nahin baqi tumhaare tir ki ab aarzu nahin baqi hua hai pip kaleja lahu nahin baqi ye mai-kada hai ki masjid ye aab hai ki sharab koi bhi zarf bara-e-wuzu nahin baqi dhara hai kya mere ghar mein ki mohtasib lega pur-az-sharab wo jam-o-subu nahin baqi wo rah ke ghair ki sohbat mein ho gae kuchh aur wo baat pichhli si agli si khu nahin baqi thaka pada hun to wamandgi ye kahti hai unhen kisi ki bhi ab justuju nahin baqi jo mai ki bund na nikli to pad gaya pani ba-haal-e-khwesh subu ab subu nahin baqi hamari aap ki baat uth rahi hai mahshar par hamari aap ki kuchh guftugu nahin baqi jo nikle khar to daman se suiyan uljhin jagah zara si kahin be-rafu nahin baqi badhi hai baat qayamat mein jhute wade par wo munfail hai to kuchh guftugu nahin baqi ye mohtasib hai abas ghar ko sunghta phirta ki bund-bar bhi mai-e-mushk-bu nahin baqi hua hai aaine ke sath aks ko sakta kisi mein jaan tere ru-ba-ru nahin baqi bahen sharab ke dariya to hum ko lutf nahin ki sabza kuchh bhi lab-e-abju nahin baqi badhi hai pak-nihadi ye baada-noshon ki ki ab namaz mein qaid-e-wuzu nahin baqi hamari aankh mein tarik bazm-e-alam hai jo zeb-e-bazm the wo shama-ru nahin baqi 'riyaz' maut ko kyun maut aai jati hai hamein to maut ki bhi aarzu nahin baqi