kis ke aangan se guzar kar ye hawa aati hai siskiyan leti hui bu-e-hina aati hai kya kami hai ki nigahon se gire jate ho dil mein ghar karne ki tum ko to ada aati hai dil ki baaten mujhe kahni nahin aatin lekin yahi kya kam hai teri hamd-o-sana aati hai kha rahi hai tan-e-bimar ko andar andar kis masiha ki dukan se ye dawa aati hai kis jagah ruk ke zara der ko dam le koi kahin saya hai shajar ka na sar aati hai ab bahar-gam badhi jati hai taklif-e-safar ab musafir ko bahut yaad-e-khuda aati hai muddaton sang musibat ki ragad khata hai tab kahin aaina-e-dil mein jila aati hai ek hammam mein goya ki sabhi nange hain sharm aati hai na duniya ko haya aati hai ab to is kar-r-gah-e-shisha-gari mein 'mahir' har-nafas taza chhanake ki sada aati hai