wo aankh mere liye nam hai kya kiya jae use bhi aaj mera gham hai kya kiya jae tere baghair kahin mera ji nahin lagta tere baghair ye aalam hai kya kiya jae sahar qarib hai ab kya wo aaenge milne umid-e-wasl bahut kam hai kya kiya jae khata maf khataen to hum se hongi zarur ki ye to fitrat-e-adam hai kya kiya jae ilahi ab koi chaara nahin dua ke siwa mariz-e-hijr lab-e-dam hai kya kiya jae wo mujh se milne ko aae hain meri maut ke baad khushi bhi mere liye gham hai kya kiya jae baraste rahte hain din raat hijr mein 'purnam' ye haal-e-dida-e-pur-nam hai kya kiya jae