kis ke hathon bik gaya kis ke kharidaron mein hun kya hai kyun mashhur main saudai bazaron mein hun gham nahin jo bediyan pahne giraftaron mein hun naz hai is par ki tere naz-bardaron mein hun tere kuche mein jo mera khun ho ai lala-ru surkh-ru yaron mein hun gul-rang gulzaron mein hun is qadar hai ai pari-ru zor par josh-e-junun sar se todun qaid agar lohe ki diwaron mein hun ishq se matlab na tha dil zulf mein uljha na tha tha jab aazadon mein tha ab to giraftaron mein hun hogi mashuqon ko khwahish mujh nahif-o-zar ki gul karenge aarzu meri main un kharon mein hun dil ko dhamkana hai dhyan us nargis-e-bimar ka jaan le kar chhodta hun main un aazaron mein hun us mere saude ka duniya mein thikana hai kahin jaan ka gahak jo hai us ke kharidaron mein hun kis se puchhun kya karun sayyaad ki marzi ki baat taza warid hun qafas mein to giraftaron mein hun aarzu hai main wo gul ho jaun ai rashk-e-chaman bagh mein din bhar rahun shab ko tere haaron mein hun aa gaya dam ziq mein lekin na ye sabit hua kaun hai isa mera main kis ke bimaron mein hun dariye aisi aankh se jo saf ishaare se kahe nargis-e-bimar hun par mardum-azaron mein hun dil to main sadqa karun tum us pe meri jaan lo tum hi munsif ho ki main aise gunahgaron mein hun kaun hun kya hun kahan hun main nahin ye bhi khabar khud-ghalat khud-rafta hun main khak hoshyaron mein hun hai ye abru ka ishaara thi jahan ki zul-fiqar ai 'sharaf' main us sulah-khani ki talwaron mein hun