tum ne bhule se kabhi ye nahin socha hoga hum jo bichhdenge to kya haal hamara hoga aa gae ho to ujala hai meri duniya mein jaoge tum to andhera hi andhera hoga ye na kahiye ki meri aankh se tapka aansu chhodiye bhi koi tuta hua tara hoga kya khabar thi ki tere shahr se pahle ai dost raat aa jaegi aur rah mein dariya hoga khwab lab khwab jabin khwab ada khwab haya itne khwabon mein koi khwab to sachcha hoga dil ke aaine mein kar aks-e-tamanna na talash tu muqabil hai to hairat ke siwa kya hoga paikar-e-ishq to farhad bhi tha majnun bhi aur wo shakhs ki tu ne jise chaha hoga aaj to khush hun bahut khush hun bahut hi khush hun is tasawwur mein main kanp uthta hun kal kya hoga ek wo hain jinhen khalwat mein bhi lutf-e-jalwat hae wo shakhs jo mahfil mein bhi tanha hoga fikr anjam-e-mohabbat ki hai tauhin ai 'lais' wahi hoga meri qismat mein jo likkha hoga