kis KHwab ka asar hai jo ab tak nazar mein hai

kis khwab ka asar hai jo ab tak nazar mein hai
manzil ki ek shabih ghubar-e-safar mein hai

samjho ki ek partaw-e-manzar nahin tamam
hai tirgi wo raaz jo tab-e-gohr mein hai

dariya ki wusaton se jo khaif rahe wo log
samjhe nahin ki ek kinara bhanwar mein hai

hum manzil-e-yaqin pe na thahre ye jaan kar
khalq-e-khuda ke sath khuda bhi safar mein hai

raqsan meri talab mein hai raqqas-e-kaenat
meri talash hai jo dil-e-rah-guzar mein hai

hairat wufur-e-shauq mein takmil ki taraf
ek aks aainon se gurezan safar mein hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close