dhup mein baithe hain bachche hath mein chhagal liye so gain shayad hawaen god mein baadal liye aa raha hai chup ke talabon mein patthar phenkta ek julus-e-kaudkan ko sath ek pagal liye in andheri bastiyon mein rakh na darwaza khula kaun aata hai yahan apnai ki mashal liye zat mein gum-sum yunhi sadkon pe din bhar ghumna aur shab ko sochna pahlu mein dil be-kal liye kya ajab us par mahak hi jaen darman ke gulab hai to ek shakh-e-nazar ummid ki konpal liye aaj tak be-samtiyon ki rah-rawi ne kya diya ab zara dam le bhi lo 'bazmi' bahut kuchh chal liye