kis ki aankhon ne kiye ashk rawan mere baad ho gaya raaz mohabbat ka bayan mere baad mere bais hua duniya mein taaruf tera phir tere husn ke charche ye kahan mere baad jin ki nazron mein khatakta tha main kante ki tarah un ki nazron mein hai tarik jahan mere baad phir kisi ne na suna tazkira-e-qatl-o-jafa kat gai khanjar-e-qatil ki zaban mere baad mujh ko 'jarrar' fana ishq-e-sitamgar ne kiya ab kahan jaega ye dushman-e-jaan mere baad