kis roz humne aah-o-fughan mein basar na ki

kis roz hum ne aah-o-fughan mein basar na ki
thi raat kaun si jo tadap kar sahar na ki

is daur-e-khud-gharaz mein ye khuddari-e-nigah
dam par bhi ban gai su-e-saqi nazar na ki

bazm-e-jahan se jate hue kyon kisi ne bhi
mud kar nigah-e-jaanib-e-diwar-o-dar na ki

ye ehtiyat-e-pas-e-mohabbat to dekhiye
karni thi un se gham ki shikayat magar na ki

kotahi-e-nazar thi ki na-qadri-e-sukhan
'jarrar' hum ne pesh mata-e-hunar na ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close