kis ki mehnat ke ye shahkar nazar aate hain ped jo rah mein samar-dar nazar aate hain aur dastar ki tazhik bhala kya hogi sar kate sahab-e-dastar nazar aate hain kya hua habs-zada hai jo makinon ka mizaj ghar ke kamre to hawa-dar nazar aate hain bhuk faqon se baghal-gir hui hai aise shahr mein qaht ke aasar nazar aate hain un ke andar ka to insan hai reza-reza log qamat mein jo kohsar nazar aate hain apni har baat pe ad jate hain bachchon ki tarah sar-phire sahab-e-kirdar nazar aate hain har jabin par hai saji jhut ki surkhi ai 'jaan' ab to insan bhi akhbar nazar aate hain