har ghadi sans majra kya hai zist se mera rabta kya hai qaid hain khwab ek parinde ke pinjre ki samt dekhta kya hai titliyan phul ya pari-chehre khwab mein koi dekhta kya hai muddaten ho gain sada aae ai khandar tujh mein gunjta kya hai jab dhadakti nahin hain diwaren to makanon mein tutta kya hai