kis ki talash hai hamein kis ke asar mein hain jab se chale hain ghar se musalsal safar mein hain sare tamashe khatm hue log ja chuke ek hum hi rah gae jo fareb-e-sahar mein hain aisi to koi khas khata bhi nahin hui han ye samajh liya tha ki hum apne ghar mein hain ab ke bahaar dekhiye kya naqsh chhod jae aasar baadalon ke na patte shajar mein hain tujh se bichhadna koi naya hadsa nahin aise hazaron qisse hamari khabar mein hain 'ashufta' sab guman dhara rah gaya yahan kahte na the ki khamiyan tere hunar mein hain