zahr mein dubi hui surkh hikayat mein gum dil girafta hai hawa mauja-e-aswat mein gum munkashif hota hua lamha-e-mazi ka nishan aankh jhapki thi hua dud-e-kharabaat mein gum sham ki saat-e-awwal mein falak par ja kar hum ne dekha hai samundar ko khayalat mein gum unghti raat ke mathe pe chamakti bindiya dekh kar ho gai nadiya bhi sawalat mein gum wo jo ek lamha-e-hairan tha subuk-rau tanha ho gaya hai teri aankhon ke tilismat mein gum muskuraata pas-e-taswir tha shaista saman jaane kyun ho gaya nadida mahakat mein gum wo qarina jise sadiyon ne kiya hai paida phir na ho jae kahin shorish-e-jazbaat mein gum dhal gaya kaise larazte hue taron mein hamid jo tha aansu meri palkon pe mudaraat mein gum