kis kis ka munh band karoge kis kis ko samjhaoge dil ki baat zaban par la ke dekho tum pachhtaoge aaj ye jin diwaron ko tum uncha karte jate ho kal ko in diwaron mein khud ghut ghut ke mar jaoge mazi ke har ek waraq par sapnon ki gul-kari hai hum se nata todne walo kitne naqsh mitaoge hath chhuda ke chal to diye ho lekin itna yaad rakho aage aise mod milenge sae se dar jaoge tum ko aadam-zad samajh ke hum ne hath badhaya tha kis ko khabar thi chhute hi tum patthar ke ho jaoge dil sa maskan chhod ke jaana itna bhi aasan nahin subh ko rasta bhul gae to sham ko wapas aaoge jism ke kuchh bechain taqaze zabt se bahar hote hain kab tak dil ko dhoka de kar yaadon se bahlaoge