jo chup rahun to bataen wo ghungniyan munh mein jo kuchh kahun to kahen qainchi hai zaban munh mein ye ek baat hai qasid jo bhejta hun tujhe wagarna dil mein jo un ke hai wo yahan munh mein zamin ka kar diya paiwand hum ko ai zalim! na ab bhi khak pade tere aasman munh mein na kan rakh ke kisi ne suni hazar afsos tamam umr rahi gham ki dastan munh mein wo aise bigde hue hain ki dant piste hain hum aise chup hain ki goya nahin zaban munh mein ye baat kya hai jo honton mein badbadate ho kaho na shauq se jo aae meri jaan munh mein daro asar se khuda jaane kya ho kya kuchh ho ghuta hua hai abhi aah ka dhuan munh mein kabhi girane na do aansu haal par mere lo aao pani to tapkao meri jaan munh mein zaban par hai ye kis kis ki tazkira apna padi hai baat na meri kahan kahan munh mein phir aise wade se taskin ho kis tarah meri nahin hai dil mein tumhaare agar hai han munh mein usi ka dhyan hai jab tak ki tan mein jaan hai 'nizam' usi ka zikr hai jab tak ki hai zaban munh mein