kis kis ko ab rona hoga jaane kya kya bhul gaya chashm o lab ka zikr hi kya hai main to sarapa bhul gaya us ne to shayad baad-e-saba se nama-e-khushbu bheja tha us ko khabar kya mujh ko chaman ka patta patta bhul gaya shahr-e-shab mein apni faqat ek najm-e-sahar se yari thi hum kuchh aise soe wo bhi rafta rafta bhul gaya aabla-pa hun aap-apne hi naqsh-e-qadam se darta hun tanha tanha phirte phirte apna saya bhul gaya 'shaz' se puchho o saudai kis ki dhun mein phirta hai kis ki baaten yaad aati hain kis ka chehra bhul gaya