raqsan sharar-e-dil teri mauj-e-sukhan se tha tanhai mein ye qurb teri anjuman se tha mera sukhan hi tha mera sarmaya-e-hayat phir main hua shahid bhi apne sukhan se tha danishwari ka zahr na tha mujh pe kargar mere libas-e-khas khirad ke kafan se tha lutne se bhi siwa tha shikast-e-yaqin ka gham shab-khun ka ehtimal to tha rahzan se tha the yar-e-tez-gam bhi jada-shanas bhi rukh un ka jo bhi tha wo hawa ke chalan se tha un se bichhad ke hun koi aawara ruh main goya mera wajud unhin ke badan se tha gulchin-o-baghban hi nahin waris-e-chaman murghan-e-naghma-khwan ka bhi rishta chaman se tha