kis kis ko main muaf karun sab nashe mein hain

kis kis ko main muaf karun sab nashe mein hain
bande nashe mein hain to yahan rab nashe mein hain

hum ne zara sa sach tera duniya jo kah diya
kahti ye phir rahi hai ki hum sab nashe mein hain

chalna sikha rahe hain hamein ye purane rind
maktab sabhi nashe mein hain mazhab nashe mein hain

hum pi ke bhi saliqe se hi ladkhadae hain
un mein se hum nahin hain jo bedhab nashe mein hain

mahngi agar hui hai to thodi si kyon piyen
pi kar sharab muft ki har shab nashe mein hain

saqi wo rind aur hain jin ko nahin hai hosh
de ek jam aur ki hum kab nashe mein hain

meri ghazal pe aap jo karte hain wah wah
hain aap mere jaise hi matlab nashe mein hain

bose ko tishna-lab bhi hain hum donon 'ashna'
ye aur baat donon ke hi lab nashe mein hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close