na hansta hun na rota hun mujhe bhi masala hai khushi bhi masala mujh ko udasi masala hai ye pidhi se riwayat ka makani masala hai udasi to hamara khandani masala hai mariz-e-ishq hun tawiz mujh pe be-asar hain so sab kahte hain mujh ko aasmani masala hai mohabbat qaid ho ke rah gai sarhad ki had tak mohabbat se siyasat ko siyasi masala hai jahan pe rona ho mujh ko wahan rota nahin main meri aankhon ka pani bhi mujhe hi masala hai mere sab sher kharij hain ye main bhi jaanta hun ye ula masala hai aur sani masala hai