kis ko dikhlaenge wo naz-o-ada mere baad

kis ko dikhlaenge wo naz-o-ada mere baad
hogi kis par ye bhala mashq-e-jafa mere baad

dekhiye aap bhi afsurda rahenge aksar
yar aa jaegi jab meri wafa mere baad

zinat-e-husn badhi khun-e-jigar se mere
phika pad jaega ye rang-e-hina mere baad

barha arsh-e-barin nala-e-shab se kanpa
arsh tak jaegi kab aah-e-rasa mere baad

main chala jaunga mahfil se na hon aap khafa
kis pe phir honge magar aap khafa mere baad

nau-giraftar-e-bala hoga na mujh sa koi
kaun chahega tujhe zulf-e-dota mere baad

uth gaya aalam-e-fani se ye kah kar 'aslam'
dekhiye kis ki ab aati hai qaza mere baad


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close