kyon na qurban main hun is takrar par pyar aata hai tere inkar par naz be-ja hai abhi guftar par faisla baqi hai jab kirdar par baam par shayad wo aaen be-naqab chashm-e-hasrat hai dar-o-diwar par har kali hoti hai sadqe subh-o-sham tere gesu aur tere rukhsar par khun se main ne bhi sincha hai chaman haq hai mera bhi gul-o-gulzar par ishq mein dair-o-haram ko bhul ja sar jhuka de aastan-e-yar par hum wafadari ki khatir mar-mite yar ka lutf-o-karam aghyar par husn ke hathon mein aai shakh-e-gul ishq ki nazren rahin talwar par chehra-e-nahid-o-parwin munfail hai nazar ek matla-e-anwar par zakhm 'aslam' phir hare hone lage hai masiha ka karam bimar par