kis ko hoga tere aane ka pata mere baad

kis ko hoga tere aane ka pata mere baad
kaun sun paega lamhon ki sada mere baad

jis se yaadon ke shabistan mahak uthte the
isi khushbu ko tarasti hai saba mere baad

main to ek raqs tha kuchh rang-bhare zarron ka
raaz ye ahl-e-zamana pe khula mere baad

baam-o-dar chikhte hain rengti tanhai mein
shahr mein khak udati hai hawa mere baad

haal-e-dil kis se kahe kis se lipat kar roe
shahr-dar-shahr bhatakti hai ghata mere baad

koi sunta nahin viran pade hain kamre
sar patakhti hai kiwadon se hawa mere baad

'sham' ke sang se hi chandni shab phutegi
dar-ba-dar phailti jaegi ziya mere baad


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close