wo jo sab ka bahut chahita tha qabr ki saaton mein tanha tha jis ne duniya ko khub dekha tha us ki aankhon mein qahqaha sa tha ranj kya khwab ke bikharne ka kuchh na tha ret ka gharaunda tha us ke aangan mein raushni thi magar ghar ke andar bada andhera tha wo bhi pathra ke rah gaya aakhir us ki aankhon mein jo sawera tha ek pinjra udas tanhai us ne kya kya khuda se manga tha shakh jhulsi hui thi aur us par ek sahma hua parinda tha qahqahon ki baraat nikli thi dard ki chikh kaun sunta tha pul na tha aur samne us ke ek tufan-ba-dosh dariya tha ek khushbu ka bantne wala gandi basti ka rahne wala tha dukh mein aakhir ye khul gaya 'qaisar' nam ek maslahat ka rishta tha