kis ko KHushi ke sath gham-e-do-jahan nahin

kis ko khushi ke sath gham-e-do-jahan nahin
wo kaun si bahaar hai jis ki khizan nahin

tufan ki sakhtiyan to koi sakhtiyan nahin
gham ye hai bas mein kashti-e-umr-e-rawan nahin

duniya ke har charagh ki lau tharthara gai
itna asar bhi jis mein na ho dastan nahin

qismat ki har khushi to zamane ne chhin li
phir bhi ye mera zarf hai lab par fughan nahin

aisi jagah pe chhod gaya mir-e-karwan
manzil ka dur tak kahin nam-o-nishan nahin

kuchh is tarah se mahw-e-khayal-e-jamal hun
ye hosh hi nahin hai kahan hun kahan nahin

tujh ko baghair dekhe uthegi na ye jabin
ye dil ka aaina hai tera aastan nahin

bas do hi din ki shauq bahaaren chaman mein hain
jis zindagi ko dhund raha hun yahan nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close