kis ko malum hui izzat-o-shan-e-bulbul kaun hai gul ke siwa martaba-dan-e-bulbul gosh-e-gul ne na suna shor-e-fughan-e-bulbul ai saba kya hui tasir-e-zaban-e-bulbul aai kya fasl-e-khizan ud gae murghan-e-chaman mit gaya surat-e-gul nam-o-nishan-e-bulbul did-e-laila ke liye shart hai chashm-e-majnun sifat-e-gul ko hai darkar zaban-e-bulbul ho gaya barham isi se to mizaj us gul ka ja-ba-ja tha mere diwan mein bayan-e-bulbul gate hain meri ghazal murgh-e-khush-ilhan-e-chaman un ko aata hai maza hai ye zaban-e-bulbul shab ko aata hai jo mahfil mein wo gul ai 'akbar' hum ko parwanon pe hota hai guman-e-bulbul