kis qadar dhyan hai ai kakul-e-pechan tera apne saye se ulajhta hai pareshan tera apni hasrat pe lahu roe har ek zakhm-e-jigar gir pada hath se qatil jo namakdan tera kya kahun hai mere sahra ki jo wusat ai qais na mile us mein jo kho jae bayaban tera hausla nikle meri wahshat-e-dil ka kyunkar daera tang hai ai aalam-e-imkan tera le gaya us ki gali tak na baha kar lasha chashm-e-tar kaam kuchh aaya mere tufan tera aaj-kal chalti hai duniya mein qayamat ki hawa gul na ho jae charagh ai mah-e-taban tera khair ho bu-e-raqabat mujhe aai tujh se chaak kis ke liye ai gul hai gareban tera kis taraf dhundhta phirta hai to ai tir-afgan dil mein 'akbar' ne chhupa rakkha hai paikan tera