kis ko mehrban kahiye kaun mehrban apna waqt ki ye baaten hain waqt ab kahan apna ab jahan mein baqi hai aah se nishan apna ud gae dhuen apne rah gaya dhuan apna ai khuda gila sun le apni be-niyazi ka aaj haal kahta hai ek be-zaban apna so ke raat kati hai be-kasi ke pahlu mein chandni ne dekha hai mere ghar saman apna ghar to ab bhi duniya ke dhup hi mein bante hain kyun utha nahin leta saya aasman apna hum safar ke qisse ko khatm kar ke chalte hain rasta badalti hai apni dastan apna na-murad duniya mein rah ke khub bhar pae chal nikal chalen ai dil kuchh nahin yahan apna jaante hue 'natiq' ham-watan ki haalat ko dhundte phiren ja kar kis liye makan apna