kis ko sunaen aur kahen kya kisi se hum

kis ko sunaen aur kahen kya kisi se hum
sab kuchh luta ke baith gae hain abhi se hum

apni hi kuchh khabar hai na duniya se wasta
rahte hain sab ke sath magar ajnabi se hum

yun to charagh hum ne bahut se jalae the
mahrum phir bhi rahte rahe raushni se hum

asrar-e-husn-o-ishq ko zahir bhi kyon karen
kahne ki baat ho to kahen har kisi se hum

har sher apna aaina-e-husn-o-ishq hai
bas lutf lete rahte hain ab shairi se hum

pahle zaban-e-ghair mein karte the shairi
urdu mein sher kahte hain ab aagahi se hum

dil itna bujh gaya hai ghamon se ki ai 'aziz'
jine ko ji rahe hain magar be-dili se hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close