kya de gai fareb kisi ki nazar mujhe duniya ka hosh hai na kuchh apni khabar mujhe jine ki aarzu hai na marne ki aarzu aisa diya hai ishq ne ek dard-e-sar mujhe musa gae the tur pe jalwe ko dekhne aata hai chaar-su tera jalwa nazar mujhe jab tak shuur-o-aql mere sath mein rahe lagti thi rah-e-ishq bahut pur-khatar mujhe wo ham-nashin tha mera main tha us ka ham-nashin ab kyon khafa hai wo nahin us ki khabar mujhe allah re ye husn-e-tasawwur ki wusaten jis samt main ne dekha wo aae nazar mujhe jaana hai mujh ko dur abhi aur ai 'aziz' bilkul rawa nahin hai kahin bhi hazar mujhe