kis ko sunaun haal-e-gham koi gham-ashna nahin aisa mila hai dard-e-dil jis ki koi dawa nahin meri namaz-e-ishq ko shaikh samajh sakega kya us ne dar-e-habib pe sajda kabhi kiya nahin mujh ko khuda se aashna koi bhala karega kya main to sanam-parast hun mera koi khuda nahin kaise ada karun namaz kaise jhukaun apna sar sehn-e-haram mein shaikh-ji yar ka naqsh-e-pa nahin kya hain usul-e-bandagi ahl-e-junun ko kya khabar sajda rawa kahan pe hai sajda kahan rawa nahin mujh se shuru-e-ishq mein mil ke jo tum bichhad gae baat hai ye nasib ki tum se koi gila nahin mujh ko rah-e-hayat mein log bahut mile magar un se mila de jo mujhe aisa koi mila nahin apna bana ke ai sanam tum ne jo aankh pher li aisa bujha charagh-e-dil phir ye kabhi jala nahin ishq ki shan marhaba ishq hai sunnat-e-khuda ishq mein jo bhi mit gaya us ko kabhi 'fana' nahin