kis ko washud hui bhar umr hi dil-gir rahe

kis ko washud hui bhar umr hi dil-gir rahe
chaman-e-dahr mein jun ghuncha-e-taswir rahe

lazzaten dil ne uthai hain teri mizhgan se
jab talak dam mein hai dam sine mein ye tir rahe

aankh lag jae shab-e-gham mein koi dam dil ki
tuk bhi khamosh agar nala-e-shabgir rahe

haal sau tarah se likhkhun use ai dida-e-tar
khushk kuchh bhi jo mera kaghaz-e-tahrir rahe

ta-dam-e-naza bala se na chhute hai zalim
umr-bhar zulf se us shokh ki zanjir rahe

dekh surat ko teri har but-e-chin ne ye kaha
samne aankhon ke din-raat ye taswir rahe

hain kahan teri wo chaalakiyan ai dast-e-junun
jeb 'afsos' ka sad-haif gulu-gir rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close